<bgsound loop='infinite' src='http://picosong.com/3MQs.mp3'></bgsound> Rashid's Poetry: Mohabat ki duniya mein mash'hoor kar doon,

Thursday, December 13, 2012

Mohabat ki duniya mein mash'hoor kar doon,

Mohabat ki duniya mein mash'hoor kar doon,
Mere saada dil, tujh ko maghroor kar doon,

Tere dil ko milnay ki khud aarzoo ho,
Tujhay is qadar gham say ranjoor kar doon,

Mujhay zindagi door rakhti hai tum say,
Jo tu pas ho to usay door kar doon,

Mohabat kay iqraar se sharm kab tak,
Kabhi saamna ho to majboor kar doon,

Ye be-rangiyan kab tak, ay husan-e-rangeen,
Idhr aa, tujhey ishq mein choor kar doon..

Tu saamnay ho to main bay khudi mein,
Sitaaron ko sajday pay majboor kar doon,.

Siya khana gham hai saqi, zaman,,
Bas ek jaam aur, noor he noor kar doon,.

No comments:

Post a Comment